Ro rahaa hoon main , dekhtaa bhi nahee sarkaari afsar ,
Record mein kaise aayenge aansoo , sookh jaane ke baad .

Kyaa pahchaan aur behtar , ho nahi sakti ?
Jugnu pahchaane jaate hain shaam dhal jaane ke baad.

Aapko haq jataane se kisne rokaa hai sarkaar ,
Tax lijiye magar kuchh wade nibhaane ke baad .

Kitni mushqil aur mehnat bharaa hai ye izhaar,
Papa ki photo nihaartaa hu magar call kat jaane ke baad.

Hum musaafir nayaa raasta chunane se kyun rokenge ,
Beshaq ! Chale jaaiye , bas ik baar gale lagaane ke baad .

Koshishein kahaan jaanti hain bhed-bhaav kaa mathematics ,
Har baar usee tarah kiyaa nayaa ishq , puraane ke baad .

Ye gareebi taakne bhi nahee deti hain panne ,
Bachche aaj bhi khojte hain kaam, kitaabein aane ke baad .

Modern Love ka funda humein bhi samjhaaein Huzur !
Hum ab bhi dost hain ? itnaa waqt saath beetaane ke baad ?

Tum iss tarah vote maangoge to sach mein ro dungaa vipul,
Nahee ! ghaav nahi sookhte , khoon rukk jaane ke baad.

Muaavaze ki rakam theek samay par ghar aai thi ,
Magar ginta kaise koi, haath kat jaane ke baad .

Duniyaa ghoomti hai gol, chalti hai kismat ki lakeer par,
Yee aap ab bataa rahe hain ? hunar sikhaane ke baad ?

Iss shaam ko har rozz bulaataa hai meraa intezaar ,
Magar chaand ko ab ghar jaanaa hai, pooraa dikh jaane ke baad.

Iss likhaawat mein galti se bhi jhaaknaa mat roti ,
Taaliyaan maangne par milti hain, ghazalein sunaane ke baad.

Har kisi ke ghar mein chaarpaai aur chulhaa hi hai dost ,
Aakhir kitni Roshni ho jaaegi, sabke ghar jalaane ke baad.

Ek din mein deewaaro kaa bann jaanaa hai Unnati,
Imaarat sundar lagati hai , bastiyaan giraane ke baad.

Kyaa bataaoon ! Khoob chubhati hai logo ki hansee mujhe ,
Magar harr koi ban jaataa hai putlaa , unse haath milaane ke baad.

Kaash ! sadak se pahle tum gaaon, pahle aa jaate vipull,
Jantaa maalaa phenk chuki hai , phool murjhaane ke baad.

Duniyaa, duniyaa, duniyaa..... bas duniyaa kaa swaarath ,
Jeena bhi Naseeb hogaa Jannat mein ! mar jaane ke baad ?
Ghazal
Published:

Owner

Ghazal

Published:

Creative Fields